Usy Kahna K Laut Aao Suna Hai EID Aayi Hai
Ek Baar To Aa K Mil Jao Suna Hai EID Aayi Hai
Usy Kahna K Bin Tere Boht Eidien Guzari Hain
Is Baar To Milne Aa Jao Suna Hai EID Aayi Hai
Usy Kahna Judai Se Muhabbat Kam Nahi Hoti
Ye Duniya Ko Btla Jao K Suna Hai EID Aayi Hai
Usy Kahna K Chahat Ka Bharam Na Totny Dena
Tum Pal Do Pal Aao Jao Suna Hai EID Aayi Hai
Usy Kahna K Tanha Hai Koi Eid K Din Bhi
Ye Tanhai Mita Jao Suna Hai EID Aayi Hai
No comments:
Post a Comment