Sunday, 19 August 2012

" Tu Jaany Na Tu Jaany Na "




" Mil Kay Bhi Hum Na Mily Tum Se Najany Kiyu "
" Meelo Kay Hain Faasly Tum Se Najany Kiyu "
" Unjaany Hain Silsily Tum Se Najany Kiyu "
" Sapny Hain Palkoo Taly Tum Se Najany Kiyu "
" Nigaahon Main Daikho Meri Jo Hai Bas Gaya "
" Wo Hai Milta Tum Se hOo Ba Hoo "
" Jaany Teri Aankhien Thi Ya Baatien Thi Waja "
" Hoye Tum Jo Dil Ki AarzoO "
" Aisy Hain Hum Ko Gily Tum Se Najany Kiyu "
" Meelo Kay Hain Fasly Tum Se Najany Kiyu "
" tu Jany Na Tu Jany Na "

Ye Jaan Kar Khushi Hoi Kay Usy bhi Dukh Dard Ka Ehsaas Hai


"Ye Jaan Kar Khushi Hoi Kay Usy Bhi Dukh Dard Ka Ehsaas Hai"
"Aaj Us Ne Bhi Kah Dia Itny Dukh Sehty Ho Mar Kiyu Nahi Jaty "


" Apny QAdmoO Kay Nishan Mery Raasty Se Hata Day "


" Apny QadmoO Kay Nishaan Mery Rasty Se Hata Day "
" Kahin Ye Na HO Kay Main Chalty HOye Tere Paas AajOou "

Nahi Fursat Yaqeen Mano Humey Kuch Aur Karny Ki


" Nahi Fursat Yaqeen Mano Humey Kuch Aur Karny Ki "
" Teri Baatien Teri Yaadien Baht Masroof Rakhti Hain "

Tuesday, 14 August 2012

Mat Pooch Hum Se Hamari Bandagi Ka Aalam


Mat Pooch Hum Se Hamari Bandagi Ka Aalam
Aye Iblees
Ghafil Hain Magar Thokar Lagy To 
Sajda Khuda Ko Karty Hain

" EID GHAZAL "



Usy Kahna K Laut Aao Suna Hai EID Aayi Hai
Ek Baar To Aa K Mil Jao Suna Hai EID Aayi Hai
Usy Kahna K Bin Tere Boht Eidien Guzari Hain
Is Baar To Milne Aa Jao Suna Hai EID Aayi Hai
Usy Kahna Judai Se Muhabbat Kam Nahi Hoti 
Ye Duniya Ko Btla Jao K Suna Hai EID Aayi Hai 
Usy Kahna K Chahat Ka Bharam Na Totny Dena 
Tum Pal Do Pal Aao Jao Suna Hai EID Aayi Hai
Usy Kahna K Tanha Hai Koi Eid K Din Bhi 
Ye Tanhai Mita Jao Suna Hai EID Aayi Hai
 

" Jashn E Azadi Mubarak "



Lahoo Ki Barish Se Bheeg Chuka Hai Hamara 
WATAN
Aye Hum Watno 
Main Kis Zuban Se Kahu " Jashn E Azadi Mubarak "

Saturday, 11 August 2012

Masroof Zindagi Main Teri Yaad kay Siwa




Masroof Zindagi Main Teri Yaad Kay Siwa 
Aata Nahi Hai Koi Mera Haal Poochny...!!!

EK PAL BHI DAIKHNA GAWARA NAHI USY



Ek Pal Bhi Daikhna Gawara Nahi Usy ..
Zara Bhi Ehsaas Hamara Nahi Usy... !!!
Wo Sahil Se Daikhta Raha Doobna Hamara..
Hum Bhi Doobty Rahy Magar Pukara Nahi Usy... !!!

Friday, 10 August 2012

SAJDA-E-ISHQ HO TO IBADAT MAIN MAZA AATA HAI



Sajda-E-Ishq Ho To Ibadat Main Maza Aata Hai
Khali Sajdon Main To Duniya Hi Bsa Karti Hai

Log Kehty Hain Kay Bas Farz Ada Karna Hai
Aisa Lagta Hai Koi Qarz Liya Ho RAB Se

Tere Sajdy Kahien Tujhy Kaafir Na Kr Dein Aey ... IQBAL ...
Tu Jhukta Kahien Aur Hai Or Sochta Kahien Aur Hai
 

Thursday, 9 August 2012

RUKHSAT HOA TO MERI BAAT MAAN KAR GAYA



Rukhsat Hoa To Meri Baat Maan Kar Gaya 
Jo Us Kay Paas Tha Wo Mujhy Daan Kar Gaya 

Bichra Wo Is Aada Se Kay Rutt Hi Badal Gayi
Ek Shakhs Sary Shehr Ko Wairaan Kar Gaya

Dil_chasp  Waqia Hai Kay Kal Ek Aziz Dost 
Apny Mufaad Par Mujhy Qurbaan Kar Gaya 

Kitni Sudhar Gayi Hai Judaai Main Zindagi
Wo Bewafai Kar Kay Mujh Par To Ehsaan Kar Gaya

Main Baat Baat Par Kehta Tha Jisko Jaan 
Wo Shakhs Aakhir Mujhy Be Jaan Kar Gaya
 

" KHUSHI " Or " ZINDAGI "



" Khushi " Ne Wada Kiya Tha Kay 
Wo 5 Din Baad Laut Aaye Gi

Pr Jab Hum Ne

" Zindagi " Ki Kitab Khol Kay Dekha 
To Kambakht " Zindagi " Hi 4 Din Ki Thi

Tujhy Kia Kahabar Mery Haal Ki

 
Tujhy Kia Kahabar Mery Haal Ki 
Mery Dard Mery Malal Ki
Ye Mery Khyal Ka Silsila 
Kisi Yaad Se hai Mila Hai 
Usy Daikhna Usy  Sochna 
Meri Zindagi Ka Hai Faisla
Ye Usi Kay Palkoo Kay Saaye Hain 
Meri Rooh Main Jo Uter Gaye 
Ye Junoon E Manzil E Ishq Hai 
Jo Chaly To Jaan Se Guzar Gaye 
Mujhy Is Muqaam Pay Chorna 
Hai Ye Bewafaai Ki Intiha 
Ye Qafas Ho Jaisy Khuli Fiza 
Yehi Sukh Ka Saans Main Loo Sada 
Jinhein Teri Deed Ki Piyaas Thi 
Wp Katory Nainoo Se Bhar Gaye 
Ye Junoon E Manzil E Ishq Hai 
Jo Chaly To Jaan Se Guzar Gaye 

Agar Ye Janna Chaho



Agar Ye Janna Chaho 
Koi Kaisy Bikharta Hai
Bikhar Kay Kaisy Girta Hai 
Chaman Main Tum Chaly Jana 
Khizaan Kay Sard Mosam Main 
Wahan Patton Ko Daikho Tum 
Ya Phr Ik Aaina Lai Lo
Isy Pathar Pay Day Maro 
Agar Mushkil Ho Ye Bhi To 
Ik Phool Lai Laina 
Hawa Kay Dosh Pay Rakhna 
To Phr Tum Jaan Jao Gy 
Koi Kaisy Bikharta Hai
Agar Ye Bhi Na Ho Tum Se 
To Mere Paas Aajana 
Mera Deedar Kar Laina
Khabar Ho Hi Jaye Gi
Koi Kaisy Bikharta Hai
 

Wednesday, 8 August 2012

I Am Strong ..... Because I Know My Weakness



I Am Strong ..... Because I Know My Weakness

I Am Beautiful ..... Because I Am Aware Of My Flaws

I Am FearLess ..... Because I Learnt To Recognise Illusion From Real 

I Am Wise ..... Because I Learn From My Mistakes 

I Am A Lover ..... Because I Have Felt Hate

And 

I Can Laugh ..... Because I Have Known Sadness

Zara Si Baat Dair Tak Rulati Rahi



Zara Si Baat Dair Tak Rulati Rahi 

Hansi Main Bhi Aankhein Aansu Bahati Rahi

Koi Kho Kay Mil Gaya , Koi Mil Kay Kho Gaya 

Zindagi Humko Bus Aisy Hi Aazmati Rahi 

Sunday, 5 August 2012

Aisa Karty Hain Tum Pay Marty Hain




Aisa Karty Hain Tum Pay Marty Hain 

Youn Bhi To Hum Ne Mar Hi Jana Hai 

Qayamat Toot Parrti Hai Zara Sa Hont Hilny Par



Qayamat Toot Parrti Hai Zara Sa Hont Hilny Par 

Na Jaany Kia Hashar Ho Kay Jab Wo Muskuraaye Gi

Friday, 3 August 2012

"MOHSIN" "WASI" " SAHIL "

 
Aasool E Muhabbat Mai Tum Khud Bewafa Ho
"MOHSIN"
Wo Jo Bichra To Tum , Marr Kiyun Nahi Gaye 

WASI Replied To MOHSIN 

Marna To Hai Ooper Waly Kay Hukam Se
"WASI" 
Aasool E Muhabbat Main Ek Naam 'Intizaar' Bhi Hai 

SAHIL Replied To WASI & MOHSIN 

Intezaar To Un Ka Kiya Jata Hai Jinhain Wapas Aana Ho 
 " SAHIL " 
Jo Khud Gharz Hon Un Kay Liye Mara Nahi Karty .......

Thursday, 2 August 2012

Seerat Na Ho To Aarz O RukhSaar Sab Galat



Seerat Na Ho To Aarz O RukhSaar Sab Galat 

Khushboo Urri To Phool Faqat Rang Reh Gaya
 

Agar Ho Jaati Meri Dosti Baadlon Kay Saaye Kay Saath Dost



Agar Ho Jaati Meri Dosti Baadlon Kay Saaye Kay Saath Dost

To Shayad  Hum Tujh Par Kabhi Dhoop Na Aaney Detay

Rahey Salamat Zindagi Unki Jo Meri Khushi Ki Faryaad Karty Hain



Rahey Salamat  Zindagi Unki Jo Meri Khushi Ki Faryaad Karty Hain

Aye Khuda Unki Zindagi Khushiyon Se Bhar Day Jo Mujhy Duaaon Main Yaad Karty Hain






 

Suna Hai Log Usy Aankh Bhar Kay Daikhty Hain



Suna Hai Log Usy Aankh Bhar Kay Daikhty Hain

So Uskey Shehr Main Thehr Kay Daikhty Hain

Suna Hai Boly To Baatoon Se Phool Jharty Hain

Yeh Baaat Hai To Chalo Baaat Kar Kay Dakhty Hain

Suna Hai Rabt Hai Usko Khrab Haaloon Se

So Apny Aap Ko Barbaad Kar K Daikhty Hain

Suna Hai Din Ko Usy Titliyaan Stati Hain

Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr Kay Daikhty Hain

Suna Hai Us Kay Badan Ki Tarash Aisi Hai

Kay Phool Apni Qabaaien  Qatar Kay Daikhty Hain

Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashm E Naaz Uski

So Hum Bhi Uski Gali Se Guzar Kay Daikhty Hain

Suna Hai Usko Bhi Hai Shair O Shaairi Se Shaghaf

So Hum Bhi Mojzay Apny Hunar Kay Daikhty Hain

Suna Hai Hashar Hain Uski Ghazaal Si Aankhien

Suna Hai Usko Heran Dasht Bhar Kay Daikhty Hain

Suna Hai Uski Siyaah Chashm Hi Qayamat Hai

So Usko Surma Faroosh Aah Bhar Kay Daikhty Hain

Suna Hai Raat Usy Chand Takta Rehta Hai

Sitaary Baam E Falak Se Utter Kar Daikhty Hain

Suna Hai Raat Se Barh Kay Hain Qaaklien Uski

Suna Hai Shaam Ko Saaye Guzar Kay Daikhty Hain

Suna Hai Us Kay Laboon Se Gulaab Jalty Hain

So Hum Bahar Par Ilzaam Dhar Kay Daikhty Hain

Suna Hai Uskey Shabistaan Se  Muttasil Hai Bahesht

Makien Udher Kay Bhi Jalway Idher Kay Daikhty Hain

Suna Hai Aaina Tamsaal Hai Jabien Uski

Jo Sada Dil Hain Usay Ban Sanwar Kay Daikhty Hain

Suna Hai Jab Se Hamaail Hain Uski Gardan Main

Mizaaj Or Hi Laal O Gohar Kay Daikhty Hain

Suna Hai Chashm E Tasawur Se Dasht E ImKaan Main

Palang Zaaviye Uski Qamar Kay Daikhty Hain

Rukay To Gardishien Uska Taqaaf Karti Hain

Chaly To Usko Zamany Thehr Kay Daikhty Hain

Bus Ik Nigaah Se Lutta Hai Qaaflaa Dil Ka

So Raah Raawaan E Tamanna Bhi Dar Kay Daikhty Hain

Kahaniyan Hi Sahi Sab Mubalghy Hi Sahi

Agar Wo Khwab Hai Taabeer Kar Kay Daikhty Hain

Wo Saru Qad Hai Magar Be Gull E Muraad Nahi

K Us Shajar Py Shagoofy Samar Kay Daikhty Hain
 
Ab Us Kay Shehr Main Thehrien Kay Qooch Kar Jaien

Faraz

Aao Sitary Safar Kay Daikhty Hain

Ab Us Kay Shehr Main Thehrien Kay Qooch Kar Jaien

Faraz

Aao Sitary Safar Kay Daikhty Hain

Suna Hai Log Usy Aankh Bhar Kay Daikhty Hain

So Uskey Shehr Main Thehr Kay Daikhty Hain

Suna Hoga Kisi Se Tum Ne, Dard Ki Ik Had Bhi Hoti Hai



Suna Hoga Kisi Se Tum Ne, Dard Ki Ik Had Bhi Hoti Hai
" Mohsin "
Milo Hum Se K Hum Us Had K Aksar Paar Rehty Hain